Monday 1 June 2015

Aansu Shayari

,

In Aankho Me Aansu Aaye Na Hote
Wo Jo Mud Kar Muskuraye Na Hote
Unke Jane Ke Baad Ye Gam Hota Hai
Kash Woh Jindgi Me Aaye Na Hote.





Bina Dard Ke Aansu Bahaye Nahi Jate
Bina Pyar Ke Rishte Nibhaye Nahi Jate
Zindagi Me Ek Baat Yaad Rakhna,
Kisi Ko Rula Kar, Apne Sapne Sajaye Nahi Jate

Do Kadam To Sab Chal Jete hai.
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata
Agar Ro Kar Bhulayi Jati Yaade
To Hans Kar Koi Gam Na Chupata,
Mare Dil Ka Dard Kis Ne Dikha Hai
Mujhe Bass Khuda Ne Tarpte Dikha Hai
Hum Tanhai Ma Baith Kar Rote Hai
Logo Ne Humen Mahfil Ma Haste Dikha Ha

Is Behte Dard Ko Mat Roko,
Ye To Saza Hai Kisi Ke Intezaar Ki,
Log Inhe Aansu Kahe Ya Deewangi,
Par Ye To Nishani Hain Kisi Ke Pyar Ki.

Kaash Wo Pal Sang Bitaye Na Hote
Jinko Yaad Kar Aaj Ye Aansu Aaye Na Hote
Agar Iss Tarah Unko Mujhse Door He Jaana Tha
To Itni Gahrai Se Dil Milaye Na Hote.


Dil Bhi Wahi Tadap Bhi Wahi
Gam Bhi Wahi Izhar Ki Wajah Na Sahi..
Aansu The To Ro Lete The..
Rote To Ab Bhi He Par Aansu Na Sahi.

Aap Se Door Ho Kar Hum Jayenge Kaha,
Aap Jaisa Pyar Hum Payenge Kaha,
Dil Ko Kaise Bhi Sambhal Lenge,
Par Aankho Ke Aansu Hum Chupayege Kaha




Hum Markar Bhi Dikha Denge Unke Liye,
Kya Wo Fir Bhi Na Humko Chahenge,
Jab Dafnaya Jaayega Hume Unke Saamne,
Kya Hamare Liye Do Aansu Bhi Na Bahayenge







Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya,
Apni Yaado Se Humko Rula Diya,
Itna Bhi Matlabi Na Ho Pyar Kisi Ka,
Ki Jab Chahe Yaad Kiya, Jab Chaha Bhula Diya

Buhat Udaas Hai Koi Tere Jaane Se,
Ho Sake To Laut Ke Aa Kisi Bahane Se,
Tu Lakh Khafa Sahi Magar Ek Baar To Dekh,
Koi Toot Gaya Tere Ruth Jaane Se...


Aansu  Hai Aankho Me Par Bah Nahi Sakte,
Duniya Walo Se Darte Hai Isiliye Kuch Kah Nahi Sakte,
Par Ye to Aap Bhi Samjhte Hi Honge Ki
Hum Aapke Bina Rah Nahi Sakte..



Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai,
Ishq Nahi Kiya To Kar Ke Dekho,
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai..

 

Dard Bewafa Shayari Copyright © 2011 | Blog design by Dard Bewafa Shayari | Powered by Dard Bewafa Shayari